mushtzani o Alaikum Azeezon.. Aap sab agar Mushtzani kbuhi aadat se pareshan hai to ye post aap hi ke liye hai is post me ham Mushtzani jaise aur bhi galat kamo ka jayeza lenge aur is se kis tarah nijat paye wo batayege
Aaiye pehle jaan le ke Mushtzani kya hai aur iski islam me kya kaha gaya hai
MUSHTZANI IN ISLAM
Mushtzani ka matlab apne hatho ko apne zakar me laga kar use lutf milta hai aur mani (SPERM) nikal aati hai halaki ye ek ganda kaam hai aur islam me haram hai
Aaiye pehle jaan le ke Mushtzani kya hai aur iski islam me kya kaha gaya hai
MUSHTZANI IN ISLAM
Mushtzani ka matlab apne hatho ko apne zakar me laga kar use lutf milta hai aur mani (SPERM) nikal aati hai halaki ye ek ganda kaam hai aur islam me haram hai
Surah Mominun ki ayat hai Yani jo apni sharamgaho ki hifazat karte hain magar apne biwiyo se aur kaneezo se aur jo auro ke taalib hai wo allah ki mukarrar ki hui hadd se badh jane wale hain
Beshak
to isse samajh ata hai ke mushtzani gunah hai aur allah ne quran sharif me bata diya ke apne sharamgaho ki hifazat apne biwi aur kanizo ke siwa sabse karna hai yaani apne ap se bhi
Hadees Sharif me mushtzani ke mutaliq kaha gaya hai ke Huzoor Nabi e Kareem sallalahu alaihi wassalam ne farmaaya hai jo haath se mani nikale(yani mushtzani kare) wo maloon hai yani allah ki lanat hai uspar
Hadith Paak me ye bhi hai ke kuch log aisa hoge jinke qayamat ke din haatho par hamal hoga wo ye honge jo dunya me mushtzani kartey the
In hadeeso se sabit hota hai ke Mushtzani bohot bada gunah hai aur iske karne wale ka anjam kya hoga ye sab apki samne maine pesh kardiye
MUSHTZANI(HASTMETHUN) KE FAIDE SAHI YA GALAT
aksar hamare muashre me ye sunne ko bohot milta hai ke masturbation karne se sukoon milta hai neend achchi aati hai maza milta hai etc.. ye tamam baate jhoot hai masturbation karne se sukoon nahi milta balki jo bhi sukoon aapke pas hoti he sab chali jati hai yun kahiye ke mushtzani karne se apko tension aur ghabrahat badh jati he
ab aaiye dekhte hain ke Mushtzani karne ke jismani wa zehni nuqsanat
MUSHTZANI KE NUQSANAT
Mushtzani Jaisi Aadat Sabse Ziada Naujawano Me payi jaati hai yani 12 sal ke bachche tak mushtzani shuru kardete hain lekin suru shuru me unhe kuch nuqsan nahi hota lekin jab 1 sal guzarjate hain to unhe iska result dekhne ko milta hai iski nuqsanat aisi hai jo ise jan jayega wo dubara mushtzani nahi karega
Aankho ki raushni kam ho jana ya aankho ke saamne thoda dhundla nazar aana
zakar(penis) me dard hona
zakar ki ragein teda ho jana ya toot jana ya beech se patla ho jana
har waqt dimagh me sex ke khyalat ke wajah se dimagh kamzor ho jana
gande videos(porn) dekhne ki adat ho jana
namaz roza allah ki zikr ya fir achchi bato se dur chale jana
zyada mushtzani karne se mani(veery) ke sperms counts me kami aajana aur is wajah se shadi ke baad walid(father) banne se mehroom hojate hain
ghabrahat hona aur dar lagna
chirchira pan mijaz ho jana
shadeed ehsaas e gunah ya gulity feel hona
dimag me khudkhushi(suicide) ki chahat hona
baat baat me gussa aana garmi zayada lagna
raat ko gande aur bure khwab aana jis waja se insan pareshan ho jata hai
khana achi tarah se hazam nahi hona
koi kaam me dil nahi karna
mushtzani karney waale hazraat mushtzani ke itna aadi ho jate hain ke iske siwa use koi kaam karne ko man nahi karta
mushtzani ki kasrat ke wajah se patla ho jana mazeed kamzoriya aur zehni uljhane ho jana
(insan jab mushtzani karta he to usme mani nikalti he to usme jo pehle qatra nikata hai usme protein hota hai protein insan ke liye bohot zaruri he ise har waqt barbad karne se insan me mazeed kamzori aajati hai)
neem hakeem doctors ke chakkar me padh kar apne paise barbad karna
ziryaan ehtelam wagaira wagaira ki bimari ho jana
aur mushtzani (masturbation) par control nahi rehna
to ye hain mushtzani ke tamam nuqsanat
mushtzani ko hindi me hastmaithun kahte he english me masturbation urdu me jalaq aur arabi me istimna aur farsi me mushtzani
ab aap mushtzani ki aadat se pareshan hai to ab waqt hai aap ko isse nijaat dilane ka